Kaan Ka Dard Masail Aur ilaj:
Kaan Ke Dard Ka ilaj In Urdu Ear Pain Solution In Hindi Treatment: Kaan bhi deegar aaza ki manind hamaray jism ka aik ahem aur naazuk hissa hota hai aur Allah taala ki ataa kardah es azeem Nemat ki hifazat bhi itni hi zurori hai jitni ke dosray aaza ki kaan ka dard shadeed noiyat ka hota hai aur es ki aik barri wajah kaanon ki safai ka khayaal nah rakhna hai kaan ka dard konse masail ki wajah se hota hai aur es ka ilaaj kya hai?
- Kaan ka dard mukhtalif wajohaat ki bana par hota hai koshish kiijiye ke kaan ko bilkul saaf rakhain bilkhushoos chotey bachon ko nehlaaty hue ahthyat se kaam lain.
- Bachon ko nehlanay se pehlay un ke kaan mein roi laga dain kaan ko hamesha naram cheez ke sath saaf kiijiye kaan ko cotton buds ki madad se saaf karen aur usay bohat andar taq nah le jayain.
- Kabhi bhi kaan mein koi tail ya phir koi teeli waghera nah dalain agarchay pehlay log kaan mein tail daaltay they lekin ab zamana aur hai aur ab masail bhi ziyada hain aaj hum nahi jantay ke kaan mein jo tail dala ja raha hai woh kitna khalis hai? ya es mein kya cheez mili hui hai?
- Kisi bhi pin waghera ki madad se kaan ko saaf karne se guraiz karen aur kaan ko bohat ziyada zor se bhi saaf nah karain.
- Nahate waqt agar kaan mein pani chala jaye to woh andar reh jata hai jo baad mein infection ka baais bantaa hai es ke ilawa hum picnic par bhi apne kaanon ka khayaal nahi rakhtay aur wahan bhi hamaray kaanon mein namak ka pani aur matti daakhil ho rahay hotay hain.
- Koshish kiijiye ke picnic par jatay hue kaanon ko zaroor dhaanp lain aur picnic se anay ke baad un ki safai bhi karain es tarhan aap kaanon ke mutadid amraaz se mehfooz rahen ge.
- Kaan ka dard intahi shadeed hota hai jub kay kaan mein peep ya phir koi infection bhi ho sakta hai.
- Agar bachon ko kaan ka infection musalsal hai tu inhen 15 din taq sharbat ashba pilain yeh sharbat rozana subah aik chamach aur shaam ko aik chamach pilana hai agar infection phir bhi khatam nah ho tu kisi mualij se rujoo karain.
- Es ke ilawa agar barray afraad ke kaan mein dard rehta hai aur kaan se pani aata hai to inhen chahiye ke woh kuch dinon taq HUB masfi khoon ki golian estemaal karain yeh golian har company banati hai es liye aasani se mil jati hain.
- Aaghaz mein 2 golian subah aur 2 golian shaam ko khaani hain aur baad mein rozana subah o shaam aik aik goli khaani hai yeh golian 15 se 20 din taq khaani hain es ke ilawa kaan ko khushk rakhen aur kaan mein koi teeli waghera estemaal nah karain.
- Agar es amal se bhi kaan ka dard theek nah ho tu zaroor mualij se rujoo karain kaan ke dard ko mamooli nah samjhain kyun kay yeh agay chal kar aap ke liye kayi masail peda kar sakta hai.
No comments:
Post a Comment