Fish Oil Benefits In Urdu Machli Ke Tail Ke Faide Cod Liver Oil - Machhli Ke Tel Ke Fawaid In Hindi:
Reserch se yeh baat saabit hoyi hai
ke nojawanon mein jo log kisi qisam ka splimnt estemaal nahi karte un mein schizophreniaka khatrah bohat barh
jata hai machhli ke tail ke capsol ya machhli ka tail insani sahet ke liye
behtareen hai esi liye jo log apni ghiza mein es ka estemaal nahi karte un ko
chahiye ke woh es ke supplement zaroor estemaal karain taa ke dimaghi bimarion se
mehfooz reh sakain reserch ke mutabiq machhli ke tail ke splimnt lainay ka
matlab hai ke aap apne aap ko sangeen dimaghi bimarion se bacha lain machhli ke
tail ki golian ya capsol un nojawanon ke liye bhi achay saabit ho satke hain jo
dimaghi tor par pehlay se kamzor hain aik nai tahaqeeq jo "nature
communication" ki taraf se ki gayi, ke machhli ke tail ki shohrat aik
taaqatwar cicatrene therapy ke tor par bhi hai omega three fatty acid aam tor
par saalmun machli ya makrele fish mein paaya jata hai agar un capsolz ko apni
ghiza ka hissa bana liya jaye to yeh bohat behtareen assar dalta hai aur yeh
anti dipression bhi saabit hota hai yeh jild ke liye bohat acha hai aur jild ko
bhi dilkash aur Hassen banata hai.
Jaissa ke hum
jantay hain ke munasib miqdaar mein durust tail aur chiknai ka intikhab aap ke
jism par Umar ke asraat ko kum karne mein markazi kirdaar ada karta hai achi
chiknai aap ke jism ko bhar janey ka ehsas muhayya karti hai aur yeh chiknai ko
jalanay ka baais bhi ban sakta hai mutalay se pata chalta hai ke hamari ghiza
mein zurori chiknai ya achi chiknai ki kya ahmiyat hai, aur yeh ke hamaray
jismani nizaam ko dorust rakhnay ke liye kitni zurori hai aur hamain kis terhan
bimarion se bachati hai agar achi chiknai aur nuqsaan da chiknai ko pehchan
liya jaye to zindagi bimarion se dor guzar sakti hai machli ke tail ke baray
mein kaha jata hai ke yeh chiknaion mein sab se behtareen chiknai hai yeh tail
machli se haasil kiya jata hai, es mein barri miqdaar mein omega 3 fatty acid
paya jata hai, yeh baat tamam tehqiqaat se saabit ho chuki hai ke yeh dil aur
dimagh ki sehat ke liye behtareen hai es ke ilawa yeh aasabi nizaam ko bhi
mutharrak karta hai fish oil ke supplement se yeh bhi paya gaya hai ke es se
yad dasht bhi achi hoti hai esi liye agar kisi ko bhoolnay ka marz hai tu es ki
yad dasht mein bhi es se behtari layi ja sakti hai.
Yeh Fazai Alodgi
Se Mehfooz Rakhta Hai:
Kya aap yeh
baat jantay hain ke machli ke tail ka aik faida yeh bhi hai ke yeh aap ke dil
ko fazai alodgi se bachata hai aik american tahaqeeq ke mutabiq yeh baat bilkul
sach hai 29 sehat mand darmiyani umar ke afraad ko 4 hfton taq 3 gram machhli
ka tail ya plasbo rozana diya gaya aur es ke ilawa un ko kharab alouda fiza
mein 2 ghantay ke liye rakha gaya tahaqeeq karon ne yeh paya ke un logon par
jinhon ne machli ka tail estemaal kiya un ki sehat par woh manfi asraat nahi
muratab hue jo ke un logon par hue jo ke sirf plasbo estemaal kar rahay they
omega 3 fatty acid supplement aap ke dil ko fazai alodgi se mehfooz rakhta hai.
Yeh Earthrised Ke
Khatray Ko Kam Karta Hai:
University of brazil
ki tehqiqat ke mutabiq omega 3 fish oil joron ke dard ke khatray aur es ki
alamaat ko kum karta hai jin logon ki ghiza mein omega 3 fish oil shaamil rehta
hai un mein un logon ki nisbat earthrised ka khatrah un logon ki nisbat kum ho
jata hai jo fish oil estemaal nahi karte agar aap rozana fish oil estemaal
karte hain tu aap har qisam ke joron ke dard se apni jaan churva satke hain, ya
kum az kum joron ki soojan ko bohat had taq kam kar satke hain.
Yeh Umar Ke
Asraat Ko Zael Karta Hai:
Tehqiqat se yeh
baat sabit hoti hai ke aap ke khaliyat ka nizam jub kharab honay lagta hai aur
woh khaliyat ko dobarah nahi bana pata tu es se ke chehray aur jism par Umar ke
asrat zahir hona shoru ho jatay hain, 2010 ki aik tahaqeeq ke mutabiq fish oil
se khoon ka level aur un khaliyat ki ya cromosomas ki kami kami ka 5 saal taq
jaiza liya gaya, to omega 3 fatty acid mein es ki hifazat ka ansar paaya gaya
jis se yeh Umar ke asraat ko zael karta hai university of California, San Francisco ne 600 mareezon par tahaqeeq ki aur yeh paya ke mareezon mein machhli
se haasil kiya gaya omega 3 acids blood levels ko barha kar un marezon mein
bhi jo dil ki sharianon ke marz mein mubtala they, aur khaliyat ki toot phoot
ke amal ko bhi rok deta hai agar machli jaisay ke saalman ko haftay mein agar 2
dafa liya jaye to yeh omega 3 hasil karne ka behtareen zareya hai.
Zayed Chiknai Ko
Jlata Hai:
University of
south Australia ki tehqiqat ke mutabiq jo ke unhon ne jism par ghiza aur exercise
ke asraat par ki unhon ne yeh paya ke fish oil supplement aur exercise mil kar
chiknai ko taizi se jalatay hain es study ke douran motay aur over weight
afraad ke nizam inhzam ka bhi jaiza liya gaya, aur es mein sab se bura risk dil
ki bimarion ka tha un ko omega 3 fish oil ke sath sath. Arabic exercise haftay mein 3 dafa 12 hafton taq karwai gayi, jism mein mojood chiknai, khaas
kar pait par mojood chiknai aahista aahista kum hona shoru ho gayi un dono ke
milaap se chiknai ghatna shoru ho gayi lekin un ki nahi hui jinhon ne sirf fish
oil liya ya sirf excer size ki.
Dimaghi Taaqat
Aur Yad Dasht Ko Behtar Banata Hai:
Research ke
mutabiq ensan ke adraki amal aur fish oil ke darmain bohat achi musbet dosti
hai khaas kar dimaghi structure ke sath es mutalay se yeh bhi pata chala ke
fish oil ke estemaal karne walon mein adraki amal bohat acha ho jata hai aur es
mein behtari aati hai aik munfarid cheez yeh pata chali ke aik bohat wazeh hum
ahangi fish oil aur dimagh ke un hisson mein payi gayi jo sochnay aur yaad
rakhnay ke liye estemaal hote hain aur dosray lafzon mein fish oil ke estemaal
se dimagh ke sukarnay ke amal ko bhi roka ja sakta hai jin ki ghiza mein omega
3 fatty acid ki kami rehti hai un ki dimaghi salahiyaten ziyada jaldi mutasir
hone lagti hain aur woh yad dasht ki kamzore ka bhi shikar ho jatay hain.
Kamzor Pathon
Ki Hifazat:
Agar aap apni
ghiza mein fish oil ka estemaal karain tu yeh aap ke pathon ko bhi mazboot
banata hai aur un ki hfazt karta hai yeh aam tor par cancer ke mareezon ke sath
hota hai ke kimo thirapi ke amal ke baad un ke pathay bohat kamzor ho jatay
hain es trial mein 16 marizon ko shamil kiya gaya jo ke fish oil letay they aur
24 mareez aisay shamil kiye gaye jo ke fish oil nahi letay they jo mareez fish
oil nahi letay they unhon ne taqreebun 2-3 kg wazun ghataya, jub kay jo mareez
fish oil ka estemaal kar rahay they unhon ne apna wazan barqarar rakha, aur es
ka aik dilchasp pehlu yeh tha ke 69 feesad mareez aisay bhi they jo ke fish oil
group ke they aur jin ke pathon ke gosht mein izafah huwa tha.
Yeh baat yaad
rakhain ke pathay meeta bolick tor par active hotay hain aur calories jalatay
hain chahay aap so hi kyun nah rahay hon fish oil ke estemaal se aap ke pathon
ki hifazat hoti hai, chahay aap dieting hi kyun nah kar rahay hon.
Hadion Ki Sahet
Mein Behtari:
Jub yeh hadion
ki sahet ki bahaali ki taraf ata hai to wahan bhi sirf calsium, vitamin d, aur megnisium
ki zaroorat nahi parte balkay es ke liye omega three fatty acid dha hadion ki
sehat ke liye intahi zurori hai researchers es ka mawazna omega 6, dpa aur
omega dha se karte hain jo ke lambi hadion ki nash-o-numa ke liye bohat zurori
hai result se pata chala ke jin logon ne apni diet mein es ka estemaal rakha un
ki hadion ki sehat aur nash-o-numa mein behtari payi gayi.
No comments:
Post a Comment