Monday, November 28, 2016
Green Tea Beauty Tips In Urdu Hindi Sabz Chai Skin Tips Face Mask
12:12 PM
Green Tea Beauty Tips In Urdu Hindi Sabz Chai Skin Tips Face Mask - Chai Se Khoubsurti Panay Ke 6 Munfarid Tips: Chai aik maqbool aur dil pasand mashroob hai jo ke har mausam mein logon mein pasand kiya jata hai, khawateen hon ya mard, office ho ya ghar har jagaah es ko pasand kiya jata hai khaas kar thakan utaarnay ke liye es ko bohat car aamad samjha jata hai jab kaam se thak jayen aur ankhen kholna mushkil lag raha ho tu aisay mein garma garam kadak chaye ki piyali yaad aati hai barray borhoon ka yeh kehna hai ke chaye khon jalatii hai rang kala karti hai lekin aaj kal chaye ke baghair waqt guzaarna khasa mushkil lagta hai kyun kay es bhaagti daurti zindagi mein har shakhs itna masroof hai ke es ko apni anrgy aur tawanai ko bahaal karne ke liye chaye ya coffee ki talab hoti hai lekin hum yahan chaye ke un khawaas par goftago nhi karna chahtay balkay chaye ki patti ki un khususiyaat par baat karen ge jin par amal kar kay aap apne husn ko nikhaar kar satke hain yahan hum aisi 6 beauty tips aap ko den ge jin par amal kar kay aap apni khoubsurti ko mazeed nikhaar satke hain aur yeh tips koi aisi mushkil bhi nahi jin par amal karna aap ko namumkin lag raha ho.
Nariyal Aur Sabz Chai Ka Moisturizer:
Aap kya es ko khanay ka soch rahay hain? es ki mashor kun khusbho aap ko mast kar rahi hai? es ka naram mulaem paste, es ki khobsorat khusbhoo, aap ko fresh kar deti hai coconut ke tail aur sabz chaye ka mixture aik behtareen moisturizer hai es ke blend se baghair kisi diqat ke waqt zaya kiye baghair aik khobsorat aur chamakdar jild samnay aati hai nariyal paist aur sabz chai ke mixture se bhi jild par fori assar nazar ata hai.
Aap kya es ko khanay ka soch rahay hain? es ki mashor kun khusbho aap ko mast kar rahi hai? es ka naram mulaem paste, es ki khobsorat khusbhoo, aap ko fresh kar deti hai coconut ke tail aur sabz chaye ka mixture aik behtareen moisturizer hai es ke blend se baghair kisi diqat ke waqt zaya kiye baghair aik khobsorat aur chamakdar jild samnay aati hai nariyal paist aur sabz chai ke mixture se bhi jild par fori assar nazar ata hai.
Lemoon Ka Ras Aur Sabz Chai Ka Face Mask:
Agar aap ke paas facial krwane ke liye waqt nahi hai to aap ko ghabranay ya pareshan honay ki zaroorat nahi hai hum aap ka yeh masla minton mein hal kiye dete hain aap lemon ka ras, haldi, aur green tea ko mix karen aur apne chehray par lagayen aur aahista aahista malein es ke baad saaf pani se dho lain ab apne cehry ki chamak aur nikhaar dekhe aap ko farq nazar aaye ga.
Agar aap ke paas facial krwane ke liye waqt nahi hai to aap ko ghabranay ya pareshan honay ki zaroorat nahi hai hum aap ka yeh masla minton mein hal kiye dete hain aap lemon ka ras, haldi, aur green tea ko mix karen aur apne chehray par lagayen aur aahista aahista malein es ke baad saaf pani se dho lain ab apne cehry ki chamak aur nikhaar dekhe aap ko farq nazar aaye ga.
Jhulsi Hui Jild Ko Asli Haalat Mein Layein:
Agar aap ki jild dhoop mein ziyada rehne se jhulas gayi hai ya es par nishaan prh gye hain to apni jild ko asli haalat mein wapas laane ke liye kya karna chahiye, Yeh aik bohat mushkil sawal hai lekin es ka jawab bohat aasaan hai es ke liye aap ko sirf itna karna hai ke aik metal ki kettle mein saada chaye banayen es ko thanda honay dain aur phir es ko apni jild par dalain aur es pani se apni jild ko dhowen yeh aap ki jild ke liye bohat faida mand saabit ho ga.
Agar aap ki jild dhoop mein ziyada rehne se jhulas gayi hai ya es par nishaan prh gye hain to apni jild ko asli haalat mein wapas laane ke liye kya karna chahiye, Yeh aik bohat mushkil sawal hai lekin es ka jawab bohat aasaan hai es ke liye aap ko sirf itna karna hai ke aik metal ki kettle mein saada chaye banayen es ko thanda honay dain aur phir es ko apni jild par dalain aur es pani se apni jild ko dhowen yeh aap ki jild ke liye bohat faida mand saabit ho ga.
Suje Papooton Aur Halqon Ke Liye Mufeed:
Agar aap raat ko der taq jaagne ki aadi hain ya aap ke kaam ka dabaao aap ko sonay nahi deta to yeh aap ki aankhon aur aap ke chehray ke husn ke liye musar hai yeh aap ke papooton ki soojan ka baais bantaa hai ya phir aankhon ke neechay halqay peda kar deta hai un aankhon ki soojan aur halqon se nijaat ke liye estemaal shuda saadi chaye ke istemaal shuda tea bags apni aankhon par rakhen, aur sukoon se late jayen kuch dair rakhnay ke baad hatayin aur phir es ko dobarah aankhon par rakh len yeh aap ki aankhon mein chamak aur chehray par bhi freshnes le aeye gi aur aap ko apni aankhon ko sanwarna acha lagey ga.
Agar aap raat ko der taq jaagne ki aadi hain ya aap ke kaam ka dabaao aap ko sonay nahi deta to yeh aap ki aankhon aur aap ke chehray ke husn ke liye musar hai yeh aap ke papooton ki soojan ka baais bantaa hai ya phir aankhon ke neechay halqay peda kar deta hai un aankhon ki soojan aur halqon se nijaat ke liye estemaal shuda saadi chaye ke istemaal shuda tea bags apni aankhon par rakhen, aur sukoon se late jayen kuch dair rakhnay ke baad hatayin aur phir es ko dobarah aankhon par rakh len yeh aap ki aankhon mein chamak aur chehray par bhi freshnes le aeye gi aur aap ko apni aankhon ko sanwarna acha lagey ga.
Podeenay Aur Green Tea Ka Scrub:
Apni masroof zindagi mein se hamaray paas itna waqt nahi hota ke hum apni jild ko nikharne ke liye har waqt beauty selon ke chakkar lagayen ya phir mehngi mehngi cream lagatay rahen aur phir kuch pata nahi hota ke woh creams aap ki jild par kiya side effects chorh dain gi es ke sath sath hamari yeh bhi khwahish hoti hai ke hamari bachon ki terhan naram o mulaem aur chamakdar jild ho, es ke liye hum kya kya jatan nahi karte es ka sab se aasaan hal yeh hai ke aap podeenay ke pattay aur sabz chaye lijiye aur es ko apni jild ke scrub ke tor par estemaal karen.
Khushk Jild Ke Liye Moisturizer:
Apni masroof zindagi mein se hamaray paas itna waqt nahi hota ke hum apni jild ko nikharne ke liye har waqt beauty selon ke chakkar lagayen ya phir mehngi mehngi cream lagatay rahen aur phir kuch pata nahi hota ke woh creams aap ki jild par kiya side effects chorh dain gi es ke sath sath hamari yeh bhi khwahish hoti hai ke hamari bachon ki terhan naram o mulaem aur chamakdar jild ho, es ke liye hum kya kya jatan nahi karte es ka sab se aasaan hal yeh hai ke aap podeenay ke pattay aur sabz chaye lijiye aur es ko apni jild ke scrub ke tor par estemaal karen.
Khushk Jild Ke Liye Moisturizer:
Aap ke paas itna waqt nahi hai ke aap es khushk mausam mein har waqt apne chehray par creams ya lotion maltay rahen, es ke ilawa saaray din ke make up ke baad apni jild ko normal rakhna bhi aik masla hai es maslay ko hal karne ke liye aik bohat acha gharelo nuskha hai es ke liye sabz chaye, lemon ka ras, vitamin e ke tail ke chand qatray, aur thora sa pani mila kar es ko apne chehray par malein es ko din mein kayi dafaa apne chehray par laga satke hain, es ke liye koi pabandi nahi hai ke es ko kitna aur kitni dafaa lagana hai, aur es ki khobsorat khusbhoo aap ko sara din fresh rakhay gi.
Crocodile Information Urdu History Crocodile Essay Hindi Magarmach Facts Nibandh
10:57 AM
Crocodile Information In Urdu History Crocodile Essay In Urdu Magarmach Khofnaak Tareen Makhlooq Lekin Dilchasp Haqaiq Hindi Mein Crocodile Par Niband Facts:
- Magarmach ka shumaar duniya ke khofnaak tareen janwaron mein kiya jata hai aur yeh zameen par payi jany wali sab se pehli makhloqaat mein se aik hai mahireen ke mutabiq yeh duniya mein guzashta 65 million saloon se mojood hain aur sadiyan guzarnay ke bawajood un ki shakal aur jasamat mein koi tabdeeli waqay nahi hoyi taham magarmach se mutaliq es ke ilawa bhi kayi aisi heran kun baatein hain jin se logon ki aik barri aksariyat nawaqif hai.
- Aik magarmach ki ausatan Umar 80 saal hoti hai sab se taweel alumr magarmach ki mout 1997 mein roos mein hui jis ki Umar is waqt 115 saal thi.
- Yaqeenan magarmach ka munh kholna khauf ki alamat samjha jata hai lekin es ka matlab yeh nahi hai ke woh koi jarehana rawayya ikhtiyar karne wala hai balkay magarmach apna munh thandak haasil karne ke liye kholta hai kyun kay usay munh ke zariye paseenay atay hin.
- Ghiza khanay ke douran magarmach ki aankhon se ansoo bahtay hain lekin yeh ansoo kisi dard ya takleef ki wajah se nahi hotay balkay yeh sirf aik jismani radِ e amal hota hai aur esi wajah se magarmach ke ansoo wali kahawat bhi mashhoor hai.
- Moon soon ke mausam mein magarmach jarehana rawayya ikhtiyar kar lete hain aur yeh aisay waqt insanon ke intahi khatarnaak saabit hotay hin.
- Aap ko yeh jaan kar zaroor herat hogi ke magarmach ki kamar par khaal nahi hoti balkay yeh hadion ki aik khaas qisam hoti hai aur yeh es hadd taq sakht hoti hai ke teeron nizon aur golion ko bhi bardasht kar sakti hai.
- Magarmach ki ankhen raat ke waqt es wajah se chamakti hain ke un par chaand ki roshni ka aks parta hai aam tor par aksar log yeh manzar dekh kar khaufzadah ho jatay hain.
- Magarmach pani mein apni dum ki madad se tairta hai aur pani mein es ki raftaar 40 kilometer fi ghanta hoti hai lekin zameen par chaltay hue yeh jald hi thak jata hai.
- Magarmach ki jild se tayyar honay wali chezain intahi mehngi hoti hain kyun kay es ki jild bohat qeemti hoti hai aur yeh magarmach ke pait se haasil ki jati hai magarmach ki jild se tayyar kardah aik behtareen purse ki qeemat 15 hazaar Amrici dollar taq ho sakti hai.
- Duniya ke sab se barray crocodile bharut fiji aur Australia ke khare pani mein paye jatay hain mgrmchhon ki yeh qisam crocodylus porosus kehlati hai aur un ki lambai 23 foot taq hoti hai.
- Duniya mein chotey crocodile ki bhi aik qisam payi jati hai jin ka mawazna lizard ki jasamat se kiya ja sakta hai un mgrmchhon ka wazan 18 kilo gram taq hota hai.
- Crocodile apne jism ko amoodi shakal mein khara karne ke liye apni dum ka estemaal karte hain aur un ki yeh jismani haalat un ke shikaar ke liye intahi heran kun saabit hoti hai aur buri terhan mutasir karti hai aur yeh esi haalat mein hamla bhi kar dete hain.
- Crocodile mein darakhton par charhne ki salahiyat bhi mojood hoti hai.
Tuesday, November 22, 2016
Skin Whitening Cream Banane Ka Tarika Urdu Hindi Rang Gora Karne Wali Cream Ka Formula
1:59 AM
10 Skin Care Creamein Ghar Par Tayar, Banayen Sardiyon Mein Jild Shandar !
10 Homemade Skin Care Creams For Winter In Urdu Hindi
Sardiyon ke atay hi jild khushk hona shuru ho jati hai hawa mein nami ki kami jild ko khurdara bana deti hai aur khushk mousam mein jild ko naram mulaem rakhna bohat mushkil ho jata hai sardiyon mein skin ki care karna be had zurori hota hai warna khushki aur thandhi hawaon ki wajah se rang kum aur jild bhi mutasir honay lagti hai.
lekin kuch qudrati ashiya aisi hain jin ke istemal se hamari jild ki nami nah sirf barqarar rehti hai balkay jild ko aik nai chamak aur taro tazge faraham karti hai hum aap ko sardiyon mein skin care ke chand mufed totkay batatay hain:
Doodh, lemo aur glycerine:
Sardiyon mein chamakdar jild ke liye aik khanay ka chamach dodh, aik khanay ka chamach lemo ka rus aur aik khanay ka chamach glycerine mila kar paste banalen narmi ke sath chehray par milein 20 se 30 minute baad dho len rang saf karne aur jild ko naram o mulaem karne ki behtaren tarkeb hai.
Banana Aur Milk Cream:
Pori terhan pakay hue kelay ka paste 2 khanay ke chamach le kar aik khanay ka chamach milk karem ke sath achi terhan mila lain es paist ko gardan aur chehray par achi terhan malein 30 minute taq laga rehne dain aur phir dho len yeh paste na sirf jild ki nami barqarar rakhay ga balkay jild ki rangat saf kar ke qudrati chamak peda kere ga.
Avocado ( Magar nashpati ) aur Zaiton ka tail:
2 khanay ke chamach pakkay hue avocado ka goda aik khanay ka chamach Zaiton ke tail ke sath achi terhan mila lain chehray aur gardan par laga lain 15 se 20 minute tak jazb honay den phir taza pani se dho lain yeh paste bhi jild ki rangat nkharne ke sath jild ko tar o tazah banaye ga.
Anda, shehad aur Zaitoon Ka Tail:
Sardiyoon ke liye yeh whitening face pack bananay ke liye aik baol mein aik anda phaintain aik khanay ka chamach honey aur aik khanay ka chamach Zaiton ka tail milayen tenu cheeze achi terhan mix karen aur saf chehray par lagayen 15 se 20 minute laga rehne den aur neem garam pani se achi tarhan dho lain.
Jo Ka Dalia Aur Dodh:
Jo ka dalia aur dodh ka murakab bhi jild ke liye bohat hi faida mand hai aik chaye ka chamach dalia do khanay ke chamach dodh aur aik khanay ka chamach pani mila kar 15 se 20 minute ke liye bigho kar rakhen phir chehray par mal lain 20 minute ke liye laga rehne den aur phir saf pani se dho lain.
Shehad, Dahi Aur Ghulab:
2 khanay ke chamach shehad aik khanay ka chamach dahi aik chota pyala ghulab ki pattian aur 2 khanay ke chamach arq ghulab le kar achi terhan mix kar ke paste bana lain chehray aur gardan par laga lain 20 minute taq laga rehne den neem garam pani se dho len aur koi acha moisturizer lagayen.
Haldi, Dahi Aur Kinnow Ke Chilkay:
2 khanay ke chamach dahi, adha khanay ka chamach haldi aur do khanay ke chamach kinnow ke sokhey hue chilkon ka powder tenu chezon ko mix kar ke saf chehray aur gardan par 20 se 30 minute ke liye lagayen taaza pani se dho lain yeh sada si tarkeb sardiyon mein chehray ki rangat aur chamak ke liye bohat hi mufed hai.
Dahi Aur Shehad:
2 khanay ke chamach dahi aur aik khanay ka chamach shehad mila kar paste bana lain chehray aur gardan par laga lain 15 se 20 minute laga rehne den phir taza pani se dho lain.
Badam Aur Dodh:
Almond aur doodh ka istemal na sirf sardiyon mein balkay pora sal jild ke liye faida mand hai badam mein vitamin e ki mojodgi dhop ki wajah se kharab honay wali rangat se bachati hai jab ke dodh na sirf jild ko saf karta hai balkay jild ki geherai taq nami faraham karta hai.
4 se 5 badam raat bhar ke liye pani mein bigho den subah ke waqt cheel kar pees lain aur aik khanay ka chamach kacha dodh mila kar paste bana lain saf chehray par laga lain aur 20 minute baad dho lain.
Aalo Aur Dahi Ka Mask:
Aalo aur dahi ka mixture jild ko khobsorat aur chamakdar bananay ke liye car amad hai potato mein jild ko halka bleach karne ki salahiyat hai aalo na sirf rang ko nikharta hai balkay taiz dhop se mutasir honay wali jild ko bhi aram pohanchata hai dahi murda jild ko saaf karti hai aur jild ke masamon mein khinchao peda karti hai aur khushki dor kar ke jild ko qudrati chamak bakhshti hai.
Aik aalo cheel kar meesh kar lain aik khanay ka chamach aalo ka yeh goda aik khanay ka chamach dahi ke sath shamil karain chehray par 20 minute ke liye lagayain aur taza pani se dho len.
Zafran Beauty Tips Urdu Saffron Uses In Hindi Zafran Ka Istemal Nuskhe Upay
1:49 AM
Zafran Beauty Tips Urdu Saffron Uses In Hindi Zafran Ka Istemal Nuskhe Upay - Gori Aur Be Daagh Jild Ke Liye
Zafran Lagayen: Saffron ko umooman khaano mein zaiqay ke liye istemaal kiya jata hai es ki
khusbhoo ki wajah se usay kayi terhan ke mashrobat mein bhi dala jata ha.
zafran ke bohat se aisay fawaid hain jin ke baray mein janna zurori hai.
Zindagi mein kahin nah kahin ja kar hamein yeh ehsas hota hai ke ab jild ka
khayaal rakhna zurori hai jab jild ko tavaja dainay ki baat ati hai to zafran
aap ke liye be had kaar amad saabit ho sakta hai.
Siyah Dhabbon Aur Chaiyon Ke Liye:
- Honey aur saffron barabar miqdaar mein mila kar paiste bana lain.
- Is se jild ke mutasirah hissay par lagayen.
- 15 se 20 minute baad chehra dho lain is ke ilawa chaiyon par lazman cream bhi istemaal ki ja sakti hai dono ka istemaal jari rakhnay se chaiyan jaldi gayab ho jayen gi.
- 1 chuttki zafran aur Sooraj makhi ke beej dodh mein bigho dain.
- Raat bhar chore den subah chaan kar pees lain.
- Es mixture ko chehray par haftay mein 1 se 2 baar lagayen rangat nikhar jaye gi.
Keel Mahason Ke
Liye:
- Tulsi ke pattoun mein aik chuttki zafran ko mila kar pees lain.
- Thora sa pani daal kar paste bana len aur chehray par laga lain.
- Khushk ho jany par thanday pani se dho lain.
- Es ke ilawa zafran ka sabun bhi keel mahason aur black heads ke liye faiday mand hai.
Be Ronaqe Jild
Ke Liye:
- 1 choty chamach mein 1 chuttki zafran shaamil karen aur rat bhar chore dain.
- Es mein 1 chamach doodh, 3 qatray Zaitoon ka tail aur 1 chothai chamach cheeni milayen.
- Roi ko es mein bigho kar chehray par lagayen chand minute ke liye khushk honay dain.
- Es se jild chamak jaye gi aur khud mehsoos karain gi keh bahir ki mehngi aur side effects wali creams use karne se behtar hai zafran ka hi istemal kiya jaye
Kya Aap Ki Skin Dry Hai:
- Zafran ke powder mein lemon ke chand qatray shaamil karen.
- Es mein chand qatray dodh milayain aur es paste ko chehray par laga lain.
- Esy adhay ghantay ke liye chehray par laga rehne den phir halkay garam pani se munh dho lain.
Zafran Ke Sath
Chamakti Jild:
- 1 chota chamach sandal powder aur chuttki bhar zafran 2 bary chamach dodh mein mila lain.
- Chehry ki cleansing karne ke baad mask laga lain.
- Gily hathon se chehray ka massage karen.
- 20 minute ke liye laga rehne dain.
- Es mask ko haftay mein 2 baar lagayen.
Uric Acid Diet In Urdu ilaj Uric Acid Treatment In Hindi Uric Acid Normal Tips
1:33 AM
Uric Acid Diet In Urdu ilaj Uric Acid Treatment In Hindi Uric Acid Normal Tips: Isay Normal Karne Ke Liye Khorak Ye Hai: Hamaray jism mein uric acid ki satah ka barhna aik aam si baat ho gayi hai aur aksar log es janib koi khaas tavajha nahi dete jab kay uric acid ki satah mein musalsal izafah inhen jis marz ka shikar banata hai woh joron ka dard hai aur un dono amraz ke marez hamein apne ird gird aam dikhayi dete hain uric acid mein izafah joron mein ghatiya banata hai jis se joron mein dard sozish aur sojan peda hoti hai aur yeh dard aur sozish baaz itni ziyada hoti hai ke insaan chalne phirnay se bhi qassar ho jata hai uric acid bherne ki wajohat mein blood pressure motapa khoon ki kami aur chanbal shamil hai tibi mahiren ke mutabiq bohat ziyada surkh gosht ka istemal uric acid barha deta hai taham hum chand qudrati ghzaon ko apni khorak ka hisa bana kar uric acid ki izafi satah ko kam kar satke hain woh qudrati ghizain konsi hain ayiyae hum aap ko batatay hain.
Kelay
Kelay jism mein york acid ki satah ko kam karne mein madadgar sabit hotay hain kelay joron ke deegar amraz ke shikar marezon ke liye aik behtaren ghiza hain Albata un amraz ke ilaj ke liye rozana 8 se 9 kelay khanay parte hain aur yeh amal 3 se 4 roz taq musalsal jari rehta hai marz se chutkaray ki wazeh alamat yeh hogi ke aap ke joron par mojod sojan aur sozish kam ya khatam ho jaye gi.
Strawberry
Strawberry bhi aik aisi qudrati ghiza hai jo jism mein paye jany walay chemical ki buland satah ke khilaf muzahmat karti hai yeh mazedar ghiza uric acid ko kam kar ke aap ko aram pouncha sakti hai.
Saib
Saib mein malic acid ki bhari miqdar payi jati hai aur yeh acid qudrati tor par uric acid ke asrat ko be asar karta hai aur es se peda honay walay amraz ke hawalay se aram bhi faraham karta hai behtaren fawaid ke husol ke liye rozana aik saib khana zurori hai.
Cheray
Cheray mein anthocyanin payi jati hai jo ke sozish ke khilaf muzahmat karti hai chere nah sirf uric acid ki satah ko bherne se rokti hai balkay jism mein mojod mukhtalif chemical ke murakab ke nuqsanat se bhi mehfoz rakhti hai uric acid ki satah mein kami ke liye rozana 200 gram cheray khana zurori hai.
Pani
Pani tamam jandaron ke liye zurori hai pani jism mein mojod izafi uric acid aur zahreley madon ko kharij karta hai mahiren ke mutabiq rozana 10 se 12 glass pani zaror pina chahiye.
Sabzion ka juice
Jism mein uric acid ki satah ko kam karne ka yeh aik asan aur nihayat ahem gharelo totka hai gajar ke juice ko kheray ke juice aur chakandar ke juice mein shamil kar ke penay se aap ko joron ke amraz se nijat hasil ho sakti hai.
Fibre wali ghizain
University of marry land medical center ki aik tahaqeq ke mutabiq aisi ghizain jin mein fibre ki bhari miqdar payi jati hain jism mein mojod uric acid ki buland taren satah ko karne ke hawaly se muasar sabit ho sakti hain es ke ilawa yeh degar chemical ke murakab ki satah ko bhi kam karti hain.
Friday, November 18, 2016
Snake Information Urdu History Snake Hindi Saanp Facts Maloomat
9:33 PM
Snake Information Urdu History Snake Hindi Saanp Facts Maloomat: Hum aap ko aik khofnaak, dehshat naak aur mashhoor janwar ka kuch ahwaal bataty hain duniya bhar mein saanp ko badi aur shytaniyat ke nishaan ke tor par jana jata hai es janwar se ensaan ki na pasandeedgi ki wajah es ka zeher hai nah sirf ensaan balkay janwar bhi es se drtay hain lekin agar aap kisi aik ya do saal ke bachay ko saanp se darana chahain to woh har gaz nahi daray ga jab taq ke hum bachay ke dimagh mein saanp ka khauf nahi bitha dete kisi zahreeley saanp ki pehchan karna koi aasan kaam nahi hai duniya bhar mein paye jany walay saanpon mein se sirf aik tahai zahreeley hotay hai n aur woh bhi ziyada tar ensaan ka saamna karne se ijtinab hi karte hain Pakistan mein paye jany walay samandari saanpon ke ilawa sirf aath aisi aqsam ab taq daryaft hui hain jo ke zahreeley saanpon ke giroh se talluq rakhti hain.
Poray Pakistan mein yeh saanp ziyada tar medani ilaqon mein milta hai is ki kuch aqsam paharon par bhi rehti hai Punjab mein yeh saanp, korion wala saanp aur Sindh mein krar ke naam se shohrat rakhta hai yeh apne jism ki numaya banawat ke bais pehchana jata hai es ke peeth par siyah dhabbon ki teen qatarain hoti hen aur es hi wajah se insani abadiyon ke qareeb mlitay hain sar par aksar v shakal ka nishan bhi paya jata hai yeh choohon, chipkalion aur maindakon ko baray shoq se khatay hain es hi wajah se insani abadiyon ke qareeb mlitay hain ” si si si jaisi awaz yeh apne nathnon se nikalta hai yeh sanp bachay deta hai jo paidaiesh ke waqt 11 inch se ziyada lambay hotay hain aur yeh bhi intahi zahreeley hotay hain es saanp ki majmoi lambai taqreeban panch foot hoti hai es ke katnay se ensaan chand ghanton ya chand dinon mein mar jata hai.
Manshar Safnon Wala Saanp ( X Kaari Neties ):
Yeh bhi taqreban poray mulk mein hi paya jata hai lekin khas tor par Sindh aur Punjab ke sahrayi aur medani ilaqon mein bakasrat milta hai Sindh mein is ko khopra aur Punjab mein jalebi saanp ya pushti saanp ke naam se puraka jata hai es ki lambai do foot taq hoti hai brown rang ki pusht par atraf se halkay rang ki daharian sar par parinday ke parown ki terhan ke nishan hotay hain aur yeh aksar din ke ujalay mein nazar atay hain khorak mein chohay pasand hai chairnay par foran hamla awar hoga yeh apne jism ko es andaaz se bal deta hai ke 8 ban jata hai yeh bhi anday ke bajaye bachay deta hai is ka dassa huwa ensan 24 ghanton mein ya ziyada se ziyada do din mein mar jata hai.
Naag Raaj ( Naja Bangyerus ):
Yeh saanp hamaray mulk mein bohat kam tadad mein hota hai himalaya ka shumali pahari ilaqa is ka maskan hai yeh medani aur pahari junglon mein kasrat se milta hai sapire is ko sheesh naag kehte hain yeh taqreban 8 se 16 foot taq lamba hota hai aik jawan naag raaj mukhtalif rangon maslan peela, sabz, bhoora ya siyah hota hai yeh Haibat naak saanp jangju smjha jata hai aam tor par yeh kaha jata hai ke yeh bla ishtial hamla kar deta hai magar is ki koi misaal dekhnay mein nazar nahi ayi is ke kaatnay se ensaan chand ghanton ke andar andar khatam ho jata hai es ki khorak apne se dosri aqsam ke chotey saanp hotay hain naag raaj ka jora January mein nazar ata hai yeh apna ghonsla April aur May mein banata hai yeh wahad kobra hai jo apna ghar khud banata hai es ki madah 30-40 anday deti hai aur jab taq un andon se bachay nahi nikal atay madah un ki hifazat karti hai bachay niklny taq jora akhatta hi rehta hai madah ghar ke andar jab kay nar ghar se bahar reh kar un ki hifazat karta hai aik chota kobra jab anday se bahar ata hai to is ki lambai 20 inch hoti hai jo ke aik aam zahreeley saanp ki lambai ke barabar hai.
Hindustani Naag Ya Kala Naag ( Na Jana ja ):
Yeh saanp Pakistan ke junglon aur deegar sarsabz jaghon par bakasrat paaya jata hai khasosan Punjab ki tehseel checha watni aur dareaye Sindh ke kinare ghani sabz jharion mein milta hai yeh dekhnay mein aik khobsorat rangon wala saanp hai aam tor par usay naag phanter aur kala naag kehte hain saperon ko khas tor par es saanp ki talash rehti hai yeh bohat zahrela aur phn daar saanp hota hai es ke sar par khaas nishaan hota hai aur jism par naag raaj ki terhan safaid pattiyan nahi hoten.
Aam Crate Ya Sang Chur:
Aam yeh nah sirf hamaray mulk mein balkay poray bar e sagheer mein aam paya jata hai Punjab mein yeh chit Korea aur Sindh mein pi un kehlata hai yeh chamakdar siyah rang ka hota hai aur is ki peeth par safaid rang ki daharian hoti hain es ki lambai teen se chaar foot taq hoti hai aksar auqaat yeh 5 foot taq lambay bhi dekhe gaye hain yeh saanp aksar insani abadiyon ke qareeb hi milta hai yeh pani ka mutlashi rehta hai aur raat ko shikaar ki talaash mein nikalta hai yeh sardi ziyada mehsoos karta hai aur tang aa kar hamla awar ho jata hai aksar yeh dehaton ki charpayyon par ring jata hai aur kood ko bistar ki chadar ya takiya mein chhupa laita hai aur baghair koi nuqsaan pohnchaye aglay din wahan se bahar aa jata hai yeh aksar jooray ki shakal mein nazar atay hain es liye agar aik ko maar diya jaye to dosra qareeb hi mil jata hai es ki pasandeeda khoraak chohay aur maindak hain lekin aksar andhay saanp shoq se khata hai es ka zeher qobura saanp se chaar se paanch guna ziyada zahreela hota hai es ke katnay se saans lainay mein dushwari aur asaab par faalij ki si kefiyat se ensaan ki mout waqay ho jati hai lekin khaas baat ke mareez ke pait mein shadeed qisam ka dard hota hai es ke kaatnay se mareez 6 se 8 ghanta mein khatam ho jata hai.
In mashor saanpon ke ilawa zahreeley saanpon mein dhabba daar khud, chiter, khopra, himalaya ka khud, seeng daar saanp aur gamma saanp waghera bhi Pakistan mein paye jatay hain samndron mein paye jany walay zahreeley saanpon mein aam samandari saanp, malaa haar aur chotey saron walay saanp Karachi aur Balochistan ke sahilon par paye jatay hain.
Azdaha Snake:
Bari jasamat wala naag 8 se 20 foot taq lamba aur 350 pond taq wazni hota hai yeh aksar Punjab ke qareeb pahoron aur nadi naalon ke kinare paye jatay hain es ke chotey bachay aksar saperon ke paas dekhnay mein atay hain yeh pani ka junoon ki had taq shoqeen hota hai yeh apni dum ki madad se darakhton par charhta hai pani mein ghouta lagata hai aur wahan yani zair aabb pandrah minute ya is se bhi ziyada der taq reh sakta hai lambai ki zayadti ki wajah se yeh ziyada taiz daur nahi sakta es ki umomi khorak parinday, hiran aur dodh dainay walay janwar hotay hain.
Dhmun Saanp Ya Chooha Saanp:
Yeh saanp kaafi mota aur mazboot hota hai es ki lambai aik foot se ziyada hoti hai yeh Pakistan mein taqreban tamam jaghon par paya jata hai yeh saat hazaar foot ki bulandi par bhi dekha gaya hai aksar insani gharon ka bhi rukh kar laita hai din ki roshni mein yeh apne aap ko patharon waghera ke neechay chupa laita hai aksar khaiton aur jharion mein milta hai jism ka opri hissa sunehri aur bhoora aur neechay ka hissa peelay rang ka hota hai es ki pasandeda ghiza to chohay hain lekin yeh maindak aur parinday bhi shoq se kha laita hai yeh pani khoob peta hai aur aksar pani mein tairta huwa paya gaya hai yeh darakhton par taizi aur asani se charh kar mahirana andaaz mein parindon ka shikar karta hai umoman yeh insanon se daur hi rehne ki koshish karte hain lekin agar majaburan ya itafaqan ensaan se takrao ho hi jaye to pori Ghaiz o gazabb se hamla kar deta hai agarchay yeh aik be zarrar sa saanp hota hai magar is ke katnay se nihayat sakht takleef hoti hai yeh aksar apne dushman ke mun par hamla karta hai aur es douran is ke mun se bohat taiz aawaz mein phankar nikalti hai.
Rasal Meiny Saanp:
Yeh mota aur gole saanp aik se teen foot lamba hota hai sab se numaya es ki dum hoti hai jo siwa inch lambi aur tikoni shakal ki hoti hai jis ka serra nokdaar hota hai jism ka rang surmai hota hai aur peeth par bhoray rang ke nishaan hotay hain sar ka thoothni numa hissa zameen par sorakh karne mein madad deta hai ankhen choti honay ki wajah se is saanp mein dekhnay ki salahiyat kum hoti hai yeh zameen mein bil bana kar rehta hai jo ziyada gehra nahi hota yeh bachay bhi deta hai bunyadi tor par sust aur kahil honay ke sabab sapire is saanp ko apne paas bohat kam hi rakhtay hain yeh apne sir ko jism ke muray hue hissay mein chhupa kar betha rehta hai es ki khorak dodh dainay walay chotey janwar, gilehrian aur chohay hain yeh mukammal tor par aik be zarrar janwar hai.
2 Munh Wala Saanp:
Yeh aik aam saanp hai lekin es ki khaas aur anokhi baat yeh hai ke is ka mun aur dum aik jaisi hoti hai magar dum ka hisa nokdaar honay ke bajaye kund hota hai Punjab mein aam tor par yeh do munhi kehlata hai yeh ghiry bhoray ya siyah rang ka hota hai kamar aur sar par be tarteeb se dhabbay hotay hain thoothni aam tor se zameen mein sorakh karne ke kaam aati hai ankhen bohat choti honay ki wajah se nazar nahi atin yeh 4 foot lamba aik be zarrar saanp hai jis ki khorak chohay aur gilehrian waghera hai es ke bachay bhoray rang ke hotay hain taham kamar par siyah dahari hoti hai.
Aap ne yaqeenan been ki dhun par saanp ka raqs zaroor dekha hoga yeh hamari qadeem rivayet aur Saqafat ka hissa hai aur mulk ke taqreeban har shehar aur gali mein hum ko spire makhsoos sa libaas pehnay, galaay mein aik jholi latakaye, jis ke aik hissa mein saanp ki patari aur dosray hissa mein khanay peenay ka kuch samaan hota hai jub kay haath mein been aur jahan aath das bachay aur barray jama hue to spire ny been bajani shuru kar di apni patari kholi aur es mein se saanp ny been ki dhun aur harkat ke mutabiq raqs aur harkat karni shuru kar di khauf aur dehshat ki alamat is janwar ka yeh raqs bachay aur barray sab hi shoq aur khauf se dekhte hain.
Sunday, September 25, 2016
Sabz Elaichi Ke Faide Urdu Hindi Green Cardamom Benefits In Urdu
3:04 PM
Sabz Elaichi Ke Faide Urdu Hindi Green Cardamom Benefits In Urdu: Aaj ka mera topic hai choti elaichi jisay sabz elaichi kehte hain hum 2 iqsam ki alaichi se waqif hain aik bari elaichi aur aik choti alaichi. Choti
alaichi India aur Sri Lanka mein kasht ki jati hai. Alaichi ke darakht par
bhi pehlay phool atay hain aur baad mein is par phal lagta hai jo guchon ki
shakal mein hota hai.
Choti ya sabz alaichi khushbudar
hoti hai aur yeh hamaray khano ko dilkash aur tasty bana deti hai. Puranay zamane mein misr ke log is ko munh ki badbu dor karne ke liye chabatay thay aur
aaj bhi yeh munh ki badbu dor karne ke liye istimal ki jati hai. Sabz elaichi
ko tib mein bhi aik muqam hasil hai aur is ka istimal mukhtalif bimariyon ke
liye medicines mein kiya jata hai. Is ke beejon se hasil honay wala tail bhi
bohat kaar amad hai.
Is ke ilawa yeh hamaray khaano
chahay woh meethay khanay hon ya phir namkeen dono mein istemaal ki jati hai is ki munfarid khusbhoo ki wajah se khawateen is ko apne har khanay mein use karti hain waisay bhi health ke lihaz se ye mufeed hai aur hamari sahet
par bhi acha assar parta hai is ke istemaal ke asraat hamaray zehan par bhi
achay hotay hain.
Choti ya sabz alaichi ka
mukhtasir taaruf karwnay ke baad mein choti elaike ke health benefits yani fawaid ka zikar karna chahoon
ga jo ke aap ke liye yaqeenan mufeed ho ga.
- Ye munh ki badbu daur karne aur saanson ko mehkhane mein madadgar hai.
- Ye nazam inhezam ki kharabion ko daur karti hai.
- Sabz alaichi pait ke amraaz se nijaat dilaati hai.
- Badhazmi mein is ka istemaal mufeed hota hai.
- Riyah mein is ka istemaal faida mand hota hai.
- Yeh matli ko daur karti hai is ke ilawa qay ko rokti hai.
- Sabz elaichi jisay english mein Green Cardamom kehte hain ye dakaar aur seenay ki jalan mein mufeed hai.
- Sabz alaichi ke istemaal se hamaray asaab ko sukoon milta hai.
- Sabz elaichi peshaab aawar hai.
- Doodh ke sath is ka istemaal balgham peda honay se rokta hai.
- Khansi aur nazla o zukam mein is ka istemaal faida mand hai.
- Gala baith janey ki soorat mein is ko chai mein daal kar istemaal kiya jaye to fayda hota hai.
- Charbi ghulane mein bhi yeh hamari madad karti hai.
- Elaichi ke tail ke chand qatray pani mein daal kar nahaya jaye to thakawat dor ho jati hai.
- Elaichi ka istemal aisa hai ke is se zehni inteshaar nahi hota.
- Saans ki bimarion mein bhi is ka istemaal mufeed hota hai.
Subscribe to:
Posts (Atom)





