Thursday, December 8, 2016

Fennel Seeds Benefits In Urdu Sonf Ke Faide Saunf Jari Booti Ke Labh In Hindi

Fennel Seeds Benefits In Urdu Sonf Ke Faide Saunf Jari Booti Ke Labh In Hindi - Sonf Be Shumaar Fawaid Ki Haamil Jari Booti:
Sonf (aniseeds) aik behtareen aur sasti jari booti hai jo hamaray bawarchi khanaay ki zeenat honay ke sath sath hamari bohat si bimarion ka ilaaj bhi hai ess ka sub se ahem kaam khanay ko khushbodar bnanahe aur apni khusbhoo saanson mein mahkhane ke sath sath yeh bd hzmi gas aur pait ke mutadid amraaz ka ilaaj bhi hai waisay tu yeh ghar mein aam estemaal honay wali aam si magar be had kaar amad jari booti hai es jari booti ko hum bachpan se apni nani dadi ke paan daan mein bhi dekhte arhay hain.

Europi mumalik mein log sonf, babona, soya, dhaniya aur suntay ke post ke joshandey ko hazme ke liye bohat mufeed qarar dete hain aik maghribi muhaqiq ne sonf ki pishaab aawar salahiyat ki tareef karte hue likha ke sonf alaat bol, gurday masanay ka waram dor karne ke liye bohat mo-asar hoti hai usay baqaida estemaal karte rehne se gurday, masanay mein pathri nahi banti aur agar ban bhi gayi tu es ke estemaal se pathri kharij ho jati hai sonf doodh pilanay wali maa ke liye bhi bohat mufeed samjhi jati hai es ke estemaal se doodh ki miqdaar barh jati hai sonf mein zanana hormone, estrogen jaisi khasiyat bhi hoti hai es lehaaz se yeh khawateen ke liye bohat mo-asar saabit hoti hai sun yaas ki takaleef se nijaat ke liye atbae deegar pishaab aawar dawaon ke sath sonf estemaal karte hain tib yonani ki mashhoor dawa sharbat bazori mein sonf ke beej aur es ki jarr bhi shaamil ki jati hai. 
  1. Aniseeds , badam, Misri hum wazan pees kar aik aik chamcha sufoof doodh ke sath subah o shaam estemaal karain nazar ki kamzoree dor karne ke liye faida mand hai.
  2. Sonf 12 gram, ajwain 12 gram, kala namak 6 gram saaf kar ke bareek pees lain aur khanay ke baad estemaal karain es ke estemaal se maida durust ho jaye ga bhook barhay gi aur khana bhi jald hazem hoga.
  3. Aik gram sonf ko adhay glass pani mein khoob ghot lain, es mein shakar aur safaid mirch ka sufoof shaamil kar ke subah o shaam pyin, es se sar ke dard aur chakkar mein afaqa hoga.
  4. Nazla ke liye aik tola sonf coat kar aadh kilo pani mein bigho kar 3 ghantay baad josh dain, aadha pao reh jaye to cheeni mila kar subah shaam piyain.
  5. Asthma mein aik tola sonf aadha sair pani mein josh dain aadha reh jaye, shehad mila kar pila dain har qisam ki khansi mein mufeed hai.
  6. 8 lowng 2 kilo pani ka joshanda banayen, pao bhar reh jaye to dhai tola shakar mila kar chhaan kar garam garam pilain aur chadar orha dain, paseena aa kar bukhaar utar jaye ga.
  7. Aniseeds 5 gram, alaichi sabz 3 Adad , sonth 2 gram, darchini 2 gram, 2 khoonjaan gram tamam dawa ko chaye ke qhoh ki terhan tayyar kar ke subah o shaam pyin yeh dil ko qowat o Farhat deti hai.
  8. Aniseeds aur gur ko hum wazan le kar pani mein josh day kar name garam peenay se haiz ki be qaidgi dor ho jati hai es ke liye 5 se 7 gram sonf estemaal karna chahiye.
  9. Khana hazem karti hai aur bhook barhati hai jub kay maiday ki jalan kum aur pyaas bhujati hai, benaye ki taaqat mein izafah karti hai.
  10. Aniseeds pait aur daant ke dard ke liye bhi mufeed hoti hai.
  11. Aadha chamach sonf, chand pattay podeenay, do hari alaichi aur aik inch pyaaz ka tukda aik glass pani mein daal kar pakayen, jub aadha cup reh jaye tu qehwy ki tarhan pi lain yeh dast aur ulti mein be had mufeed hai.

,

No comments:

Post a Comment