Zafran Beauty Tips Urdu Saffron Uses In Hindi Zafran Ka Istemal Nuskhe Upay - Gori Aur Be Daagh Jild Ke Liye
Zafran Lagayen: Saffron ko umooman khaano mein zaiqay ke liye istemaal kiya jata hai es ki
khusbhoo ki wajah se usay kayi terhan ke mashrobat mein bhi dala jata ha.
zafran ke bohat se aisay fawaid hain jin ke baray mein janna zurori hai.
Zindagi mein kahin nah kahin ja kar hamein yeh ehsas hota hai ke ab jild ka
khayaal rakhna zurori hai jab jild ko tavaja dainay ki baat ati hai to zafran
aap ke liye be had kaar amad saabit ho sakta hai.
Siyah Dhabbon Aur Chaiyon Ke Liye:
- Honey aur saffron barabar miqdaar mein mila kar paiste bana lain.
- Is se jild ke mutasirah hissay par lagayen.
- 15 se 20 minute baad chehra dho lain is ke ilawa chaiyon par lazman cream bhi istemaal ki ja sakti hai dono ka istemaal jari rakhnay se chaiyan jaldi gayab ho jayen gi.
- 1 chuttki zafran aur Sooraj makhi ke beej dodh mein bigho dain.
- Raat bhar chore den subah chaan kar pees lain.
- Es mixture ko chehray par haftay mein 1 se 2 baar lagayen rangat nikhar jaye gi.
Keel Mahason Ke
Liye:
- Tulsi ke pattoun mein aik chuttki zafran ko mila kar pees lain.
- Thora sa pani daal kar paste bana len aur chehray par laga lain.
- Khushk ho jany par thanday pani se dho lain.
- Es ke ilawa zafran ka sabun bhi keel mahason aur black heads ke liye faiday mand hai.
Be Ronaqe Jild
Ke Liye:
- 1 choty chamach mein 1 chuttki zafran shaamil karen aur rat bhar chore dain.
- Es mein 1 chamach doodh, 3 qatray Zaitoon ka tail aur 1 chothai chamach cheeni milayen.
- Roi ko es mein bigho kar chehray par lagayen chand minute ke liye khushk honay dain.
- Es se jild chamak jaye gi aur khud mehsoos karain gi keh bahir ki mehngi aur side effects wali creams use karne se behtar hai zafran ka hi istemal kiya jaye
Kya Aap Ki Skin Dry Hai:
- Zafran ke powder mein lemon ke chand qatray shaamil karen.
- Es mein chand qatray dodh milayain aur es paste ko chehray par laga lain.
- Esy adhay ghantay ke liye chehray par laga rehne den phir halkay garam pani se munh dho lain.
Zafran Ke Sath
Chamakti Jild:
- 1 chota chamach sandal powder aur chuttki bhar zafran 2 bary chamach dodh mein mila lain.
- Chehry ki cleansing karne ke baad mask laga lain.
- Gily hathon se chehray ka massage karen.
- 20 minute ke liye laga rehne dain.
- Es mask ko haftay mein 2 baar lagayen.
No comments:
Post a Comment