10 Skin Care Creamein Ghar Par Tayar, Banayen Sardiyon Mein Jild Shandar !
10 Homemade Skin Care Creams For Winter In Urdu Hindi
Sardiyon ke atay hi jild khushk hona shuru ho jati hai hawa mein nami ki kami jild ko khurdara bana deti hai aur khushk mousam mein jild ko naram mulaem rakhna bohat mushkil ho jata hai sardiyon mein skin ki care karna be had zurori hota hai warna khushki aur thandhi hawaon ki wajah se rang kum aur jild bhi mutasir honay lagti hai.
lekin kuch qudrati ashiya aisi hain jin ke istemal se hamari jild ki nami nah sirf barqarar rehti hai balkay jild ko aik nai chamak aur taro tazge faraham karti hai hum aap ko sardiyon mein skin care ke chand mufed totkay batatay hain:
Doodh, lemo aur glycerine:
Sardiyon mein chamakdar jild ke liye aik khanay ka chamach dodh, aik khanay ka chamach lemo ka rus aur aik khanay ka chamach glycerine mila kar paste banalen narmi ke sath chehray par milein 20 se 30 minute baad dho len rang saf karne aur jild ko naram o mulaem karne ki behtaren tarkeb hai.
Banana Aur Milk Cream:
Pori terhan pakay hue kelay ka paste 2 khanay ke chamach le kar aik khanay ka chamach milk karem ke sath achi terhan mila lain es paist ko gardan aur chehray par achi terhan malein 30 minute taq laga rehne dain aur phir dho len yeh paste na sirf jild ki nami barqarar rakhay ga balkay jild ki rangat saf kar ke qudrati chamak peda kere ga.
Avocado ( Magar nashpati ) aur Zaiton ka tail:
2 khanay ke chamach pakkay hue avocado ka goda aik khanay ka chamach Zaiton ke tail ke sath achi terhan mila lain chehray aur gardan par laga lain 15 se 20 minute tak jazb honay den phir taza pani se dho lain yeh paste bhi jild ki rangat nkharne ke sath jild ko tar o tazah banaye ga.
Anda, shehad aur Zaitoon Ka Tail:
Sardiyoon ke liye yeh whitening face pack bananay ke liye aik baol mein aik anda phaintain aik khanay ka chamach honey aur aik khanay ka chamach Zaiton ka tail milayen tenu cheeze achi terhan mix karen aur saf chehray par lagayen 15 se 20 minute laga rehne den aur neem garam pani se achi tarhan dho lain.
Jo Ka Dalia Aur Dodh:
Jo ka dalia aur dodh ka murakab bhi jild ke liye bohat hi faida mand hai aik chaye ka chamach dalia do khanay ke chamach dodh aur aik khanay ka chamach pani mila kar 15 se 20 minute ke liye bigho kar rakhen phir chehray par mal lain 20 minute ke liye laga rehne den aur phir saf pani se dho lain.
Shehad, Dahi Aur Ghulab:
2 khanay ke chamach shehad aik khanay ka chamach dahi aik chota pyala ghulab ki pattian aur 2 khanay ke chamach arq ghulab le kar achi terhan mix kar ke paste bana lain chehray aur gardan par laga lain 20 minute taq laga rehne den neem garam pani se dho len aur koi acha moisturizer lagayen.
Haldi, Dahi Aur Kinnow Ke Chilkay:
2 khanay ke chamach dahi, adha khanay ka chamach haldi aur do khanay ke chamach kinnow ke sokhey hue chilkon ka powder tenu chezon ko mix kar ke saf chehray aur gardan par 20 se 30 minute ke liye lagayen taaza pani se dho lain yeh sada si tarkeb sardiyon mein chehray ki rangat aur chamak ke liye bohat hi mufed hai.
Dahi Aur Shehad:
2 khanay ke chamach dahi aur aik khanay ka chamach shehad mila kar paste bana lain chehray aur gardan par laga lain 15 se 20 minute laga rehne den phir taza pani se dho lain.
Badam Aur Dodh:
Almond aur doodh ka istemal na sirf sardiyon mein balkay pora sal jild ke liye faida mand hai badam mein vitamin e ki mojodgi dhop ki wajah se kharab honay wali rangat se bachati hai jab ke dodh na sirf jild ko saf karta hai balkay jild ki geherai taq nami faraham karta hai.
4 se 5 badam raat bhar ke liye pani mein bigho den subah ke waqt cheel kar pees lain aur aik khanay ka chamach kacha dodh mila kar paste bana lain saf chehray par laga lain aur 20 minute baad dho lain.
Aalo Aur Dahi Ka Mask:
Aalo aur dahi ka mixture jild ko khobsorat aur chamakdar bananay ke liye car amad hai potato mein jild ko halka bleach karne ki salahiyat hai aalo na sirf rang ko nikharta hai balkay taiz dhop se mutasir honay wali jild ko bhi aram pohanchata hai dahi murda jild ko saaf karti hai aur jild ke masamon mein khinchao peda karti hai aur khushki dor kar ke jild ko qudrati chamak bakhshti hai.
Aik aalo cheel kar meesh kar lain aik khanay ka chamach aalo ka yeh goda aik khanay ka chamach dahi ke sath shamil karain chehray par 20 minute ke liye lagayain aur taza pani se dho len.
No comments:
Post a Comment