Tuesday, November 22, 2016

Uric Acid Diet In Urdu ilaj Uric Acid Treatment In Hindi Uric Acid Normal Tips

Uric Acid Diet In Urdu ilaj Uric Acid Treatment In Hindi Uric Acid Normal Tips: Isay Normal Karne Ke Liye Khorak Ye Hai: Hamaray jism mein uric acid ki satah ka barhna aik aam si baat ho gayi hai aur aksar log es janib koi khaas tavajha nahi dete jab kay uric acid ki satah mein musalsal izafah inhen jis marz ka shikar banata hai woh joron ka dard hai aur un dono amraz ke marez hamein apne ird gird aam dikhayi dete hain uric acid mein izafah joron mein ghatiya banata hai jis se joron mein dard sozish aur sojan peda hoti hai aur yeh dard aur sozish baaz itni ziyada hoti hai ke insaan chalne phirnay se bhi qassar ho jata hai uric acid bherne ki wajohat mein blood pressure motapa khoon ki kami aur chanbal shamil hai tibi mahiren ke mutabiq bohat ziyada surkh gosht ka istemal uric acid barha deta hai taham hum chand qudrati ghzaon ko apni khorak ka hisa bana kar uric acid ki izafi satah ko kam kar satke hain woh qudrati ghizain konsi hain ayiyae hum aap ko batatay hain.

Kelay
Kelay jism mein york acid ki satah ko kam karne mein madadgar sabit hotay hain kelay joron ke deegar amraz ke shikar marezon ke liye aik behtaren ghiza hain Albata un amraz ke ilaj ke liye rozana 8 se 9 kelay khanay parte hain aur yeh amal 3 se 4 roz taq musalsal jari rehta hai marz se chutkaray ki wazeh alamat yeh hogi ke aap ke joron par mojod sojan aur sozish kam ya khatam ho jaye gi.


Strawberry
Strawberry bhi aik aisi qudrati ghiza hai jo jism mein paye jany walay chemical ki buland satah ke khilaf muzahmat karti hai yeh mazedar ghiza uric acid ko kam kar ke aap ko aram pouncha sakti hai. 

Saib
Saib mein malic acid ki bhari miqdar payi jati hai aur yeh acid qudrati tor par uric acid ke asrat ko be asar karta hai aur es se peda honay walay amraz ke hawalay se aram bhi faraham karta hai behtaren fawaid ke husol ke liye rozana aik saib khana zurori hai. 

Cheray
Cheray mein anthocyanin payi jati hai jo ke sozish ke khilaf muzahmat karti hai chere nah sirf uric acid ki satah ko bherne se rokti hai balkay jism mein mojod mukhtalif chemical ke murakab ke nuqsanat se bhi mehfoz rakhti hai uric acid ki satah mein kami ke liye rozana 200 gram cheray khana zurori hai. 

Pani
Pani tamam jandaron ke liye zurori hai pani jism mein mojod izafi uric acid aur zahreley madon ko kharij karta hai mahiren ke mutabiq rozana 10 se 12 glass pani zaror pina chahiye. 

Sabzion ka juice
Jism mein uric acid ki satah ko kam karne ka yeh aik asan aur nihayat ahem gharelo totka hai gajar ke juice ko kheray ke juice aur chakandar ke juice mein shamil kar ke penay se aap ko joron ke amraz se nijat hasil ho sakti hai. 

Fibre wali ghizain
University of marry land medical center ki aik tahaqeq ke mutabiq aisi ghizain jin mein fibre ki bhari miqdar payi jati hain jism mein mojod uric acid ki buland taren satah ko karne ke hawaly se muasar sabit ho sakti hain es ke ilawa yeh degar chemical ke murakab ki satah ko bhi kam karti hain.

,

No comments:

Post a Comment