Snake Information Urdu History Snake Hindi Saanp Facts Maloomat: Hum aap ko aik khofnaak, dehshat naak aur mashhoor janwar ka kuch ahwaal bataty hain duniya bhar mein saanp ko badi aur shytaniyat ke nishaan ke tor par jana jata hai es janwar se ensaan ki na pasandeedgi ki wajah es ka zeher hai nah sirf ensaan balkay janwar bhi es se drtay hain lekin agar aap kisi aik ya do saal ke bachay ko saanp se darana chahain to woh har gaz nahi daray ga jab taq ke hum bachay ke dimagh mein saanp ka khauf nahi bitha dete kisi zahreeley saanp ki pehchan karna koi aasan kaam nahi hai duniya bhar mein paye jany walay saanpon mein se sirf aik tahai zahreeley hotay hai n aur woh bhi ziyada tar ensaan ka saamna karne se ijtinab hi karte hain Pakistan mein paye jany walay samandari saanpon ke ilawa sirf aath aisi aqsam ab taq daryaft hui hain jo ke zahreeley saanpon ke giroh se talluq rakhti hain.
Poray Pakistan mein yeh saanp ziyada tar medani ilaqon mein milta hai is ki kuch aqsam paharon par bhi rehti hai Punjab mein yeh saanp, korion wala saanp aur Sindh mein krar ke naam se shohrat rakhta hai yeh apne jism ki numaya banawat ke bais pehchana jata hai es ke peeth par siyah dhabbon ki teen qatarain hoti hen aur es hi wajah se insani abadiyon ke qareeb mlitay hain sar par aksar v shakal ka nishan bhi paya jata hai yeh choohon, chipkalion aur maindakon ko baray shoq se khatay hain es hi wajah se insani abadiyon ke qareeb mlitay hain ” si si si jaisi awaz yeh apne nathnon se nikalta hai yeh sanp bachay deta hai jo paidaiesh ke waqt 11 inch se ziyada lambay hotay hain aur yeh bhi intahi zahreeley hotay hain es saanp ki majmoi lambai taqreeban panch foot hoti hai es ke katnay se ensaan chand ghanton ya chand dinon mein mar jata hai.
Manshar Safnon Wala Saanp ( X Kaari Neties ):
Yeh bhi taqreban poray mulk mein hi paya jata hai lekin khas tor par Sindh aur Punjab ke sahrayi aur medani ilaqon mein bakasrat milta hai Sindh mein is ko khopra aur Punjab mein jalebi saanp ya pushti saanp ke naam se puraka jata hai es ki lambai do foot taq hoti hai brown rang ki pusht par atraf se halkay rang ki daharian sar par parinday ke parown ki terhan ke nishan hotay hain aur yeh aksar din ke ujalay mein nazar atay hain khorak mein chohay pasand hai chairnay par foran hamla awar hoga yeh apne jism ko es andaaz se bal deta hai ke 8 ban jata hai yeh bhi anday ke bajaye bachay deta hai is ka dassa huwa ensan 24 ghanton mein ya ziyada se ziyada do din mein mar jata hai.
Naag Raaj ( Naja Bangyerus ):
Yeh saanp hamaray mulk mein bohat kam tadad mein hota hai himalaya ka shumali pahari ilaqa is ka maskan hai yeh medani aur pahari junglon mein kasrat se milta hai sapire is ko sheesh naag kehte hain yeh taqreban 8 se 16 foot taq lamba hota hai aik jawan naag raaj mukhtalif rangon maslan peela, sabz, bhoora ya siyah hota hai yeh Haibat naak saanp jangju smjha jata hai aam tor par yeh kaha jata hai ke yeh bla ishtial hamla kar deta hai magar is ki koi misaal dekhnay mein nazar nahi ayi is ke kaatnay se ensaan chand ghanton ke andar andar khatam ho jata hai es ki khorak apne se dosri aqsam ke chotey saanp hotay hain naag raaj ka jora January mein nazar ata hai yeh apna ghonsla April aur May mein banata hai yeh wahad kobra hai jo apna ghar khud banata hai es ki madah 30-40 anday deti hai aur jab taq un andon se bachay nahi nikal atay madah un ki hifazat karti hai bachay niklny taq jora akhatta hi rehta hai madah ghar ke andar jab kay nar ghar se bahar reh kar un ki hifazat karta hai aik chota kobra jab anday se bahar ata hai to is ki lambai 20 inch hoti hai jo ke aik aam zahreeley saanp ki lambai ke barabar hai.
Hindustani Naag Ya Kala Naag ( Na Jana ja ):
Yeh saanp Pakistan ke junglon aur deegar sarsabz jaghon par bakasrat paaya jata hai khasosan Punjab ki tehseel checha watni aur dareaye Sindh ke kinare ghani sabz jharion mein milta hai yeh dekhnay mein aik khobsorat rangon wala saanp hai aam tor par usay naag phanter aur kala naag kehte hain saperon ko khas tor par es saanp ki talash rehti hai yeh bohat zahrela aur phn daar saanp hota hai es ke sar par khaas nishaan hota hai aur jism par naag raaj ki terhan safaid pattiyan nahi hoten.
Aam Crate Ya Sang Chur:
Aam yeh nah sirf hamaray mulk mein balkay poray bar e sagheer mein aam paya jata hai Punjab mein yeh chit Korea aur Sindh mein pi un kehlata hai yeh chamakdar siyah rang ka hota hai aur is ki peeth par safaid rang ki daharian hoti hain es ki lambai teen se chaar foot taq hoti hai aksar auqaat yeh 5 foot taq lambay bhi dekhe gaye hain yeh saanp aksar insani abadiyon ke qareeb hi milta hai yeh pani ka mutlashi rehta hai aur raat ko shikaar ki talaash mein nikalta hai yeh sardi ziyada mehsoos karta hai aur tang aa kar hamla awar ho jata hai aksar yeh dehaton ki charpayyon par ring jata hai aur kood ko bistar ki chadar ya takiya mein chhupa laita hai aur baghair koi nuqsaan pohnchaye aglay din wahan se bahar aa jata hai yeh aksar jooray ki shakal mein nazar atay hain es liye agar aik ko maar diya jaye to dosra qareeb hi mil jata hai es ki pasandeeda khoraak chohay aur maindak hain lekin aksar andhay saanp shoq se khata hai es ka zeher qobura saanp se chaar se paanch guna ziyada zahreela hota hai es ke katnay se saans lainay mein dushwari aur asaab par faalij ki si kefiyat se ensaan ki mout waqay ho jati hai lekin khaas baat ke mareez ke pait mein shadeed qisam ka dard hota hai es ke kaatnay se mareez 6 se 8 ghanta mein khatam ho jata hai.
In mashor saanpon ke ilawa zahreeley saanpon mein dhabba daar khud, chiter, khopra, himalaya ka khud, seeng daar saanp aur gamma saanp waghera bhi Pakistan mein paye jatay hain samndron mein paye jany walay zahreeley saanpon mein aam samandari saanp, malaa haar aur chotey saron walay saanp Karachi aur Balochistan ke sahilon par paye jatay hain.
Azdaha Snake:
Bari jasamat wala naag 8 se 20 foot taq lamba aur 350 pond taq wazni hota hai yeh aksar Punjab ke qareeb pahoron aur nadi naalon ke kinare paye jatay hain es ke chotey bachay aksar saperon ke paas dekhnay mein atay hain yeh pani ka junoon ki had taq shoqeen hota hai yeh apni dum ki madad se darakhton par charhta hai pani mein ghouta lagata hai aur wahan yani zair aabb pandrah minute ya is se bhi ziyada der taq reh sakta hai lambai ki zayadti ki wajah se yeh ziyada taiz daur nahi sakta es ki umomi khorak parinday, hiran aur dodh dainay walay janwar hotay hain.
Dhmun Saanp Ya Chooha Saanp:
Yeh saanp kaafi mota aur mazboot hota hai es ki lambai aik foot se ziyada hoti hai yeh Pakistan mein taqreban tamam jaghon par paya jata hai yeh saat hazaar foot ki bulandi par bhi dekha gaya hai aksar insani gharon ka bhi rukh kar laita hai din ki roshni mein yeh apne aap ko patharon waghera ke neechay chupa laita hai aksar khaiton aur jharion mein milta hai jism ka opri hissa sunehri aur bhoora aur neechay ka hissa peelay rang ka hota hai es ki pasandeda ghiza to chohay hain lekin yeh maindak aur parinday bhi shoq se kha laita hai yeh pani khoob peta hai aur aksar pani mein tairta huwa paya gaya hai yeh darakhton par taizi aur asani se charh kar mahirana andaaz mein parindon ka shikar karta hai umoman yeh insanon se daur hi rehne ki koshish karte hain lekin agar majaburan ya itafaqan ensaan se takrao ho hi jaye to pori Ghaiz o gazabb se hamla kar deta hai agarchay yeh aik be zarrar sa saanp hota hai magar is ke katnay se nihayat sakht takleef hoti hai yeh aksar apne dushman ke mun par hamla karta hai aur es douran is ke mun se bohat taiz aawaz mein phankar nikalti hai.
Rasal Meiny Saanp:
Yeh mota aur gole saanp aik se teen foot lamba hota hai sab se numaya es ki dum hoti hai jo siwa inch lambi aur tikoni shakal ki hoti hai jis ka serra nokdaar hota hai jism ka rang surmai hota hai aur peeth par bhoray rang ke nishaan hotay hain sar ka thoothni numa hissa zameen par sorakh karne mein madad deta hai ankhen choti honay ki wajah se is saanp mein dekhnay ki salahiyat kum hoti hai yeh zameen mein bil bana kar rehta hai jo ziyada gehra nahi hota yeh bachay bhi deta hai bunyadi tor par sust aur kahil honay ke sabab sapire is saanp ko apne paas bohat kam hi rakhtay hain yeh apne sir ko jism ke muray hue hissay mein chhupa kar betha rehta hai es ki khorak dodh dainay walay chotey janwar, gilehrian aur chohay hain yeh mukammal tor par aik be zarrar janwar hai.
2 Munh Wala Saanp:
Yeh aik aam saanp hai lekin es ki khaas aur anokhi baat yeh hai ke is ka mun aur dum aik jaisi hoti hai magar dum ka hisa nokdaar honay ke bajaye kund hota hai Punjab mein aam tor par yeh do munhi kehlata hai yeh ghiry bhoray ya siyah rang ka hota hai kamar aur sar par be tarteeb se dhabbay hotay hain thoothni aam tor se zameen mein sorakh karne ke kaam aati hai ankhen bohat choti honay ki wajah se nazar nahi atin yeh 4 foot lamba aik be zarrar saanp hai jis ki khorak chohay aur gilehrian waghera hai es ke bachay bhoray rang ke hotay hain taham kamar par siyah dahari hoti hai.
Aap ne yaqeenan been ki dhun par saanp ka raqs zaroor dekha hoga yeh hamari qadeem rivayet aur Saqafat ka hissa hai aur mulk ke taqreeban har shehar aur gali mein hum ko spire makhsoos sa libaas pehnay, galaay mein aik jholi latakaye, jis ke aik hissa mein saanp ki patari aur dosray hissa mein khanay peenay ka kuch samaan hota hai jub kay haath mein been aur jahan aath das bachay aur barray jama hue to spire ny been bajani shuru kar di apni patari kholi aur es mein se saanp ny been ki dhun aur harkat ke mutabiq raqs aur harkat karni shuru kar di khauf aur dehshat ki alamat is janwar ka yeh raqs bachay aur barray sab hi shoq aur khauf se dekhte hain.
No comments:
Post a Comment