Sunday, September 25, 2016

Sabz Elaichi Ke Faide Urdu Hindi Green Cardamom Benefits In Urdu

Sabz Elaichi Ke Faide Urdu Hindi Green Cardamom Benefits In Urdu: Aaj ka mera topic hai choti elaichi jisay sabz elaichi kehte hain hum 2 iqsam ki alaichi se waqif hain aik bari elaichi aur aik choti alaichi. Choti alaichi India aur Sri Lanka mein kasht ki jati hai. Alaichi ke darakht par bhi pehlay phool atay hain aur baad mein is par phal lagta hai jo guchon ki shakal mein hota hai.


Choti ya sabz alaichi khushbudar hoti hai aur yeh hamaray khano ko dilkash aur tasty bana deti hai. Puranay zamane mein misr ke log is ko munh ki badbu dor karne ke liye chabatay thay aur aaj bhi yeh munh ki badbu dor karne ke liye istimal ki jati hai. Sabz elaichi ko tib mein bhi aik muqam hasil hai aur is ka istimal mukhtalif bimariyon ke liye medicines mein kiya jata hai. Is ke beejon se hasil honay wala tail bhi bohat kaar amad hai.

Is ke ilawa yeh hamaray khaano chahay woh meethay khanay hon ya phir namkeen dono mein istemaal ki jati hai is ki munfarid khusbhoo ki wajah se khawateen is ko apne har khanay mein use karti hain waisay bhi health ke lihaz se ye mufeed hai aur hamari sahet par bhi acha assar parta hai is ke istemaal ke asraat hamaray zehan par bhi achay hotay hain.

Choti ya sabz alaichi ka mukhtasir taaruf karwnay ke baad mein choti elaike ke health benefits yani fawaid ka zikar karna chahoon ga jo ke aap ke liye yaqeenan mufeed ho ga.
  • Ye munh ki badbu daur karne aur saanson ko mehkhane mein madadgar hai.
  • Ye nazam inhezam ki kharabion ko daur karti hai.
  • Sabz alaichi pait ke amraaz se nijaat dilaati hai.
  • Badhazmi mein is ka istemaal mufeed hota hai.
  • Riyah mein is ka istemaal faida mand hota hai.
  • Yeh matli ko daur karti hai is ke ilawa qay ko rokti hai.
  • Sabz elaichi jisay english mein Green Cardamom kehte hain ye dakaar aur seenay ki jalan mein mufeed hai.
  • Sabz alaichi ke istemaal se hamaray asaab ko sukoon milta hai.
  • Sabz elaichi peshaab aawar hai.
  • Doodh ke sath is ka istemaal balgham peda honay se rokta hai.
  • Khansi aur nazla o zukam mein is ka istemaal faida mand hai.
  • Gala baith janey ki soorat mein is ko chai mein daal kar istemaal kiya jaye to fayda hota hai.
  • Charbi ghulane mein bhi yeh hamari madad karti hai.
  • Elaichi ke tail ke chand qatray pani mein daal kar nahaya jaye to thakawat dor ho jati hai.
  • Elaichi ka istemal aisa hai ke is se zehni inteshaar nahi hota.
  • Saans ki bimarion mein bhi is ka istemaal mufeed hota hai.

,

No comments:

Post a Comment