Monday, November 28, 2016

Crocodile Information Urdu History Crocodile Essay Hindi Magarmach Facts Nibandh

Crocodile Information In Urdu History Crocodile Essay In Urdu Magarmach Khofnaak Tareen Makhlooq Lekin Dilchasp Haqaiq Hindi Mein  Crocodile Par Niband Facts:
  • Magarmach ka shumaar duniya ke khofnaak tareen janwaron mein kiya jata hai aur yeh zameen par payi jany wali sab se pehli makhloqaat mein se aik hai mahireen ke mutabiq yeh duniya mein guzashta 65 million saloon se mojood hain aur sadiyan guzarnay ke bawajood un ki shakal aur jasamat mein koi tabdeeli waqay nahi hoyi taham magarmach se mutaliq es ke ilawa bhi kayi aisi heran kun baatein hain jin se logon ki aik barri aksariyat nawaqif hai. 

  1. Aik magarmach ki ausatan Umar 80 saal hoti hai sab se taweel alumr magarmach ki mout 1997 mein roos mein hui jis ki Umar is waqt 115 saal thi. 
  2. Yaqeenan magarmach ka munh kholna khauf ki alamat samjha jata hai lekin es ka matlab yeh nahi hai ke woh koi jarehana rawayya ikhtiyar karne wala hai balkay magarmach apna munh thandak haasil karne ke liye kholta hai kyun kay usay munh ke zariye paseenay atay hin. 
  3. Ghiza khanay ke douran magarmach ki aankhon se ansoo bahtay hain lekin yeh ansoo kisi dard ya takleef ki wajah se nahi hotay balkay yeh sirf aik jismani radِ e amal hota hai aur esi wajah se magarmach ke ansoo  wali kahawat bhi mashhoor hai.
  4. Moon soon ke mausam mein magarmach jarehana rawayya ikhtiyar kar lete hain aur yeh aisay waqt insanon ke intahi khatarnaak saabit hotay hin. 
  5. Aap ko yeh jaan kar zaroor herat hogi ke magarmach ki kamar par khaal nahi hoti balkay yeh hadion ki aik khaas qisam hoti hai aur yeh es hadd taq sakht hoti hai ke teeron nizon aur golion ko bhi bardasht kar sakti hai.  
  6. Magarmach ki ankhen raat ke waqt es wajah se chamakti hain ke un par chaand ki roshni ka aks parta hai aam tor par aksar log yeh manzar dekh kar khaufzadah ho jatay hain.
  7. Magarmach pani mein apni dum ki madad se tairta hai aur pani mein es ki raftaar 40 kilometer fi ghanta hoti hai lekin zameen par chaltay hue yeh jald hi thak jata hai.
  8. Magarmach ki jild se tayyar honay wali chezain intahi mehngi hoti hain kyun kay es ki jild bohat qeemti hoti hai aur yeh magarmach ke pait se haasil ki jati hai magarmach ki jild se tayyar kardah aik behtareen purse ki qeemat 15 hazaar Amrici dollar taq ho sakti hai.
  9. Duniya ke sab se barray crocodile bharut fiji  aur Australia ke khare pani mein paye jatay hain mgrmchhon ki yeh qisam crocodylus porosus kehlati hai aur un ki lambai 23 foot taq hoti hai. 
  10. Duniya mein chotey crocodile ki bhi aik qisam payi jati hai jin ka mawazna lizard ki jasamat se kiya ja sakta hai un mgrmchhon ka wazan 18 kilo gram taq hota hai. 
  11. Crocodile apne jism ko amoodi shakal mein khara karne ke liye apni dum ka estemaal karte hain aur un ki yeh jismani haalat un ke shikaar ke liye intahi heran kun saabit hoti hai aur buri terhan mutasir karti hai aur yeh esi haalat mein hamla bhi kar dete hain.
  12. Crocodile mein darakhton par charhne ki salahiyat bhi mojood hoti hai.

, ,

No comments:

Post a Comment