Monday, November 28, 2016

Green Tea Beauty Tips In Urdu Hindi Sabz Chai Skin Tips Face Mask

Green Tea Beauty Tips In Urdu Hindi Sabz Chai Skin Tips Face Mask - Chai Se Khoubsurti Panay Ke 6 Munfarid Tips: Chai aik maqbool aur dil pasand mashroob hai jo ke har mausam mein logon mein pasand kiya jata hai, khawateen hon ya mard, office ho ya ghar har jagaah es ko pasand kiya jata hai khaas kar thakan utaarnay ke liye es ko bohat car aamad samjha jata hai jab kaam se thak jayen aur ankhen kholna mushkil lag raha ho tu aisay mein garma garam kadak chaye ki piyali yaad aati hai barray borhoon ka yeh kehna hai ke chaye khon jalatii hai rang kala karti hai lekin aaj kal chaye ke baghair waqt guzaarna khasa mushkil lagta hai kyun kay es bhaagti daurti zindagi mein har shakhs itna masroof hai ke es ko apni anrgy aur tawanai ko bahaal karne ke liye chaye ya coffee ki talab hoti hai lekin hum yahan chaye ke un khawaas par goftago nhi karna chahtay balkay chaye ki patti ki un khususiyaat par baat karen ge jin par amal kar kay aap apne husn ko nikhaar kar satke hain yahan hum aisi 6 beauty tips aap ko den ge jin par amal kar kay aap apni khoubsurti ko mazeed nikhaar satke hain aur yeh tips koi aisi mushkil bhi nahi jin par amal karna aap ko namumkin lag raha ho.

Nariyal Aur Sabz Chai Ka Moisturizer:
Aap kya es ko khanay ka soch rahay hain? es ki mashor kun khusbho aap ko mast kar rahi hai? es ka naram mulaem paste, es ki khobsorat khusbhoo, aap ko fresh kar deti hai coconut ke tail aur sabz chaye ka mixture aik behtareen moisturizer hai es ke blend se baghair kisi diqat ke waqt zaya kiye baghair aik khobsorat aur chamakdar jild samnay aati hai nariyal paist aur sabz chai ke mixture se bhi jild par fori assar nazar ata hai.

Lemoon Ka Ras Aur  Sabz Chai Ka Face Mask:
Agar aap ke paas facial krwane ke liye waqt nahi hai to aap ko ghabranay ya pareshan honay ki zaroorat nahi hai hum aap ka yeh masla minton mein hal kiye dete hain aap lemon ka ras, haldi, aur  green tea  ko mix karen aur apne chehray par lagayen aur aahista aahista malein es ke baad saaf pani se dho lain ab apne cehry ki chamak aur nikhaar dekhe aap ko farq nazar aaye ga.

Jhulsi Hui Jild Ko Asli Haalat Mein Layein:
Agar aap ki jild dhoop mein ziyada rehne se jhulas gayi hai ya es par nishaan prh gye hain to apni jild ko asli haalat mein wapas laane ke liye kya karna chahiye, Yeh aik bohat mushkil sawal hai lekin es ka jawab bohat aasaan hai es ke liye aap ko sirf itna karna hai ke aik metal ki kettle mein saada chaye banayen es ko thanda honay dain aur phir es ko apni jild par dalain aur es pani se apni jild ko dhowen yeh aap ki jild ke liye bohat faida mand saabit ho ga.

Suje Papooton Aur Halqon Ke Liye Mufeed:
Agar aap raat ko der taq jaagne ki aadi hain ya aap ke kaam ka dabaao aap ko sonay nahi deta to yeh aap ki aankhon aur aap ke chehray ke husn ke liye musar hai yeh aap ke papooton ki soojan ka baais bantaa hai ya phir aankhon ke neechay halqay peda kar deta hai un aankhon ki soojan aur halqon se nijaat ke liye estemaal shuda saadi chaye ke istemaal shuda tea bags apni aankhon par rakhen, aur sukoon se late jayen kuch dair rakhnay ke baad hatayin aur phir es ko dobarah aankhon par rakh len yeh aap ki aankhon mein chamak aur chehray par bhi freshnes le aeye gi aur aap ko apni aankhon ko sanwarna acha lagey ga.

Podeenay Aur Green Tea Ka Scrub:
Apni masroof zindagi mein se hamaray paas itna waqt nahi hota ke hum apni jild ko nikharne ke liye har waqt beauty selon ke chakkar lagayen ya phir mehngi mehngi cream lagatay rahen aur phir kuch pata nahi hota ke woh creams aap ki jild par kiya side effects chorh dain gi es ke sath sath hamari yeh bhi khwahish hoti hai ke hamari bachon ki terhan naram o mulaem aur chamakdar jild ho, es ke liye hum kya kya jatan nahi karte es ka sab se aasaan hal yeh hai ke aap podeenay ke pattay aur sabz chaye lijiye aur es ko apni jild ke scrub ke tor par estemaal karen.

Khushk Jild Ke Liye Moisturizer:
Aap ke paas itna waqt nahi hai ke aap es khushk mausam mein har waqt apne chehray par creams ya lotion maltay rahen, es ke ilawa saaray din ke make up ke baad apni jild ko normal rakhna bhi aik masla hai es maslay ko hal karne ke liye aik bohat acha gharelo nuskha hai es ke liye sabz chaye, lemon ka ras, vitamin e ke tail ke chand qatray, aur thora sa pani mila kar es ko apne chehray par malein es ko din mein kayi dafaa apne chehray par laga satke hain, es ke liye koi pabandi nahi hai ke es ko kitna aur kitni dafaa lagana hai, aur es ki khobsorat khusbhoo aap ko sara din fresh rakhay gi.

No comments:

Post a Comment