Thursday, December 8, 2016

Dry Fruits Benefits In Urdu Dry Fruit Ke Faide Khushk Mewa Jaat Se ilaj

Dry Fruits Benefits In Urdu Dry Fruit Ke Faide Khushk Mewa Jaat Se ilaj: Khushk Mewa Jaat Mein Chupa Mozi Amraz Ka Ilaj
Mosam e sarma ka aghaz ho chuka hai Pakistan mein November se le kar March ke wast taq sardi ka mosam rehta hai yeh hum par Allah ka bara karam aur ahsaan hai ke es ney besh baha naematain hamaray liye peda farmaen aur es ney har mausam ke liye allag allag sabzian aur phal ugaye taakay hum un ke zaiqon se lutaf andoz ho sakain aur un ke andar chupay be shumar fawaid hasil kar sakain.

Sardiyon ki amad ke sath hi khushk mewa jaat ki bahar aa jati hai yeh meway mukhtalif qisam ki mithi dishes mein bhi istemal hotay hain khushk mewon mein chiknai aur hararay wafar miqdar mein paye jatay hain es liye agar unhein aitdal se istemal kiya jaye to be had faida dete hain.

Deen o tib ka choli daman ka sath hai hamaray khaliq o malik ney hamari afiat ka kis qadar khayal rakha hai ke mosam e sarma mein khushk mewa jaat ki sorat mein hamein tarhan tarhan ki ghizaiyat bhari soghat se nawaza hai jin ke zariye hum mukhtalif bimarion se nijat hasil kar saktay hain kyun kay unhein mewa jaat mein chupa hai hamaray bohat se amraz ka ilaj.



Moong phali - Sardiyon mein peanut phali ka istemal insani jism mein nitrogen aur lahmiat ki kami ko pora karti hai aur yeh woh khorak hai jo aik Ameer admi se le kar jhonpari mein rehne wala ensaan bhi istemal karta hai aur behtaren lahmiat ka khazana hai aam tor par logon mein yeh shikayat hoti hai ke moong phali khanay se balgham ho jata hai achi bhoni hui moong phali balgham pida nhi karti es ke sath gur ka istemal zaror karen.

Kaju - Cashew nut mein gayain ke qemay jitna folad hota hai usay khanay se jism mein khoon ki kami door ho jati hai ye jism ki mamol ki afzaish ke liye az had mufeed hai yeh jism ke mdafati nizam ke liye bhi faida mand hai tahum high blood pressure ya dil ke marezon ke liye namkeen kajoo se parhaiz zurori hai kaju mein tanba aur mengnyz bhi khob hota hai yeh azlaat ke liye acha assar dalta hai kyun kay es mein phosphorus mengnyzyum vitamin bi aurfolait  ke husol ka bhi acha zareya hai kajoo se jism ki thakan dor hoti hai usay nehar munh shehad ke sath khanay se nasiyan ke marz mein afaqa hota hai es ke phal ka ras waram mein honay walay dard ke liye bhi mufeed samjha jata hai es kechilkon k ka tail sirka mein bigho kar hasil karte hain jo ke egzimaa mein malish karne se faida deta hai es ke maghaz ka morabba dil o dimagh ke liye taqat war hai jism ke masson aur phoray phansi ko hatane ke liye es ka tail lagaya jata hai es ka maghaz danton ki jaron ko honay walay dard se aram deta hai.

Akhrot - Hamaray haan riwayati tor par akhrot ke tail se pait mein dard ( maror ) baasor dast aur antariyon ki sakhti ko naram karne jaisi bimarion ka ilaaj kiya jata hai, taham hum aap ko yahan akhrot ke degar ahem fawaid ke bare mein agahi den ge.

Walnut mein shamil omega fatty acid Nami chiknai dimaghi amal ko behtar bana kar depration ka muqabla karne ki salahiyat mein izafah kar deti hai yahi nahi balkay akhrot qabz ki sorat mein fori aram pohanchanay ka bohat bara zareya hai yeh maiday mein poanch kar fuzla mein harkat peda kar kay usay agay ki taraf dhkil deta hai.

Akhrot mein shamil acid ghair zaruri aur ganday cholesterol ki satah ko kum karne mein nihayat Muawin hai jis ke bad sahet mand cholesterol peda hota hai jo qowat qalb ke liye nihayat mufeed samjha jata hai rozana sirf aik akhrot ka istemal jism ko high blood pressure ka muqabla karne ki taqat bhi faraham karta hai akhrot mein shamil zank, mignishim jaisay ajza insani jism ke liye nihayat zurori hain es liye haamla khawaten ke liye un ka istemal nihayat naffa bakhash hai khansi aur asthma ke ilaaj ke douran akhrot ka istemal nihayat mo-asar hai akhrot mein shamil ajza hadion ki mazboti aur nashonuma ke liye nihayat zurori hain akhrot mein melatonin ( aik qisam ka Zimad ) Nami acid mojod hota hai, jo jism ke androni nizam ke bohat se hisson ko chalanay ka zimma daar hai lehaza jab jism mein melatonin ki miqdar pori hoti hai to aap rat bhar pursukon neend le satke hain.

Anjeer - Anjeer ke istemal se aanten saf rehti hain khoon ka dabao normal rehta hai usay khanay se khoon ki kami ki shikayat dor ho jati hai yeh mewa saans ke marz ke liye bhi bohat mufeed hai. Aur ye figs pehphron ke marz ki bhi kayi shikayat dor hoti hain yeh joron ke dard ke liye bhi bohat mufeed hai jab kay jild ke amraaz mein bhi es ka baqaida istemaal intahi faida mand hai dar haqeeqat es meway mein qudrat ney hayateen, phosphorus, calcium aur folaad ko yakja kar diya hai yeh tamam ajzaa sahet bakhash honay ki wajah se taaqat mein izafah karte hain agar aap ke galay mein kharaash aur khansi hai to figs ko khoob chaba kar khayen.

Badam - Qawaay badni o dimaghi ka Muhafiz hai badan ko mota karta hai aankhon ko qowat deta aur qowat baah ko ziyada karta hai.

Pista - Pista taseer garam khushk dil dimagh maida zehan, haafza aur badan ko mota karta aur jigar ka saddah kholta hai.

Chilghoza - Pine nuts gurda masana aur qowat baah ke liye mufeed hai pathon ko taaqat deta hai aur saddah kholta hai.

Allah pak ki qudrat dekhieye ke yeh tamam meway sardiyon mein waafar miqdaar mein paye jatay hain jo insani jism ke andar nitrogen ke tawazun ko barqarar rakhtay hain sardi ki wajah se nizam inhizam ke sath dosray nizamon mein bhi taizi aa jati hai kyun kay jism ka darja hararat qaim rakhnay ke liye khushk mewa jaat bohat ahem kirdaar ada karte hain.

, ,

No comments:

Post a Comment